Sunday, January 22, 2012

Mann kwahishon ka anant samundar hai..
Jahan se Lehro ke saath ek ek khwab kinare ki aur behata chala aata hai..
Aur ek naye laksya ka aagaz kar jata hai..
Chahaton ko pane ki raah umeedon k chaurahe se hi hokar nikalti hai..
Par manzil par pahunch kar bhi yeh karwaan thahar nahi paata..
Kyuki kuch nayi umeeden jo wahan humari raah taka karti hain..
Har safar ko yaadgar banate jao..har lamha khul k jiyo aur muskurao..

No comments: