Maa woh tumhi ho jisne is shristi mein ek naye jeevan ka aagaz kiya...
Tumhare pehlu mein hi humne is duniya mein janam liya...
Bachpan mein har lamha humein seene se lagaya...raat bhar lori gakar humein apni god mein sulaya...
Jab aansu aaye humein chup karaya....nit naveen khilon se humara mann behlaaya
Thode bade huye toh humhara haanth thaam kar chalna sikhaya...jab thokar khayi humein sambhala...
Jab kabhi gir gaye toh humein uthaya...aur naye sire se aagey badhna sikhaya....
Jitna bhi kahein kam hoga....shabdon mein tumhare tyag ka alankan na mumkin hoga...
Tumhari mamta mein jo kshamta hai....woh kahin aur na mil payegi...
Jitna tumne pyar diiya hai kabhi aur koi na de payega....
Sada tumhari chhaya mein yeh jeevan jayega...
Paas na ho tum kabhi toh bhi tumhara ahsaas hai..
Tumse jyada na koi aaj tak humein samjha hai na samajh payega....
Maa tumhare aashish se hi yeh jeevan sanvar jayega...
Tumsa dular karne waala koi aur na humare jeevan mein aayega..
Tumhari har muskurat pe mera dil baag baag ho jayega...
Sada yun hi muskurate raho.....Hum par yun hi sneh barsaati raho...
1 comment:
Marvellous! Couldn't have described better..
Post a Comment