Thursday, March 5, 2015

Life is a maze


Life - one of the most beautiful thing God created on this earth and endowed the humans with ability to think and share. There are hundred and thousands of thoughts which come and go everyday. Yet most of the times we are worried about the future or still thinking about something which has already passed. Ignoring the ancestral saying 'Chinta Chita ke samaan hai - worry is like a pyre.Most of us must have come across the fact that we should live in the present and shouldn't worry about anything yet we keep on thinking. Get tired creating scenario after scenario if this happens this will be the outcome and would lead to something and get depress about this. This is like a maze, the more you try go deep into it, you get more confused and coming out of it becomes more difficult. Some simple things get complicated just by overthinking, then overreacting. Sometimes just giving things some more time to settle down is the best option. 

Sunday, January 22, 2012


Apni manzil tak jaane ko aksar hum alag alag raaste apnate hain..
Isi justazun me kuch dost zuda ho jate hain..Par faasle kabhi unki ahmiyat kam na kar pate hain..
Tanhayiyon me wo saath bitaye lamhe phir yaad aate hain..
Aur hum un pyari baton un shararaton me phir kho jate hain..
Jaante hain hum mumkin nai hota hai waqt ka laut aana..
Phir bhi Dil chahta hai wo hasin pal phir laut ayen aur zindagi phir wo kisse doharaye..
Hum phir mile aur usi masti mein kho jayen..

Apno ke saath bitaye kuch chote chote lamhe bhi kitni badi khushi de jate hain..
Apnepan ka ahsas kara ke mann ko anandit aur pulkit kar jaate hain..
Aseem shanti aur dil ko sukun pahunchate hain..
Ek adrishaya shakti ka sanchar kar hume utsah aur umang se bhar jate hain..
Nayi umeendo aur prernaon ki saugat late hain..
Hume aseem prem aur sampoornta pahunchate hain..
Isliye hum apno se kabhi dur na jaana chahte hain..
Unke saath ta umra bitana chahte hain.

Jeevan ke ek naye mod par aaj hum aaye hain,ek taraf hai manjil aur dusri aur kuch pyari yaden Woh lamhe jo humne saath bitaye hain ab kabhi na laut payenge.
Reh jayengi bas yaadein jo kabhi hume gudgudayengi kabhi rulayenge par agle hi pal muskurahat chhod jayengi

Kitni pyari saugat hai yeh zindagi..milti kai janmon ke baad hai yeh zindagi..
Naye rang roz humein dikhati hai..har lamha kuch naya sikhati hai yeh zindagi..
Sheep mein moti si aati hai zindagi..kai rishto mein hume piroti hai zindagi..
Kabhi khushiyon toh kabhi gam ki saugat lati hai zindagi..
Kabhi phoolon si mehakati hai zindagi..
Kabhi katein chubhoti hai zindagi..
Kabhi saat suron ki sargam sunati hai zindagi..kabhi gumsum udaas tanha kar tadpati hai yeh zindagi..
Kitna pyar dilati hai zindagi..kitne rishte dikhati hai zindagi..
Har haal mein jeena sikhati hai zindagi, har mod pe raah dikhati hai zindagi..
Zindadili se jiyo yeh zindagi..kai janmo ke baad aati hai yeh zindagi..

Koshish ka daman jo bandhe rakhte hai wahi umeendo ki shama jalaye rakhata hai..
Mil jaye jo khawaish ki hai humne har dafa yeh mumkin nahi hota,phir bhi aarju ko dil me basaye rakhne ki zarurat ha
Kuch zazbaton ko shabdon se bayan nahi kar pate...Par unka ahsas bahot haseen hota hai...Pal bhar ka wo apka sath bhi behtreen hota hai...Un kuch lamho k hum tahe dil se shukraguzär hain...Aapko dekh kar hi jeevan me ek umeed barkarar rakhate hai...Hain toh ye sirf lafz par haal-e-dil bayan karte hai...Wo bahot khushnaseeb honge jinhe ta umra apka saath milega...Hume koi rashk na hoga kyunki daman me humare yadon ka karwan hoga...Aap khush rahe hamesha bas khuda se yahi dua karenge...